शुक्रवार, 22 जनवरी 2016

Love sayari in hindi

                     Love Sayari
1.
Na jane ,DiL kyun Khincha jata hai uski Taraf,
Kiya Usne bhi Mujhe Paaney Ki Dua mangi Hai
2.
Tu saath chalta to shayad manzil mil jaati mujhe.
Mujhe to koi rasta pehchanta nahi
3.
Apni pyari Ankhon Main Chupalo Mujhko"
Muhabbat tm Se He Churalo Mujhko"
Dhoop Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum"
Yaqeen NA Ho To Azmalo Mujhko"
Tere Her Dukh Ko Seh Lenge Hans K Hum"
Apne Wajood Ki Chadar Bana Lo Mujh Ko"
Zindagi Bhi Tere Naam Kardi Maine"
Bas Chand Lamhe Seeny Se Laga Lo Mujhko...
4.
True lines....
Kisi se shirf utna hi door hona,
Ki use apki ahmiyt ka ehsas ho jye.
Lekin kbhi itna bhi dur mt hona,
Ki vo apke bina jena sekh le.
5.
Aaj Usne Ek Baat Keh Ke
Mujhe Rula Diya..
.
Jab Dard Bardaasht Nahi
Kar
Sakte To Mohabbat Kyo Ki... ?
6.Mohabbat ki daastan Sunane Aaye hain,
Tabaah krne k bad wo Pyar jatane Aaye hai
Aansu pochh liye the Humne kab ke
Magar wo fir se aaj hume Rulane Aaye hai....
7.टूटे हुए दिल को, संभलने की ....आस क्या रखिये
कितना खोया है ज़िंदगी में .... हिसाब क्या रखिये
चेहरे पे ग़म बिठा कर क्या मिलेगा दोस्तो,
अपने अज़ाब अपने हैं, औरों को ....उदास क्या रखिये..
8.Kitna bhi chaho na bhool paoge hume
Jitni door jaoge nazdeek paoge hume............!!!
Mita sakte ho toh mita do yaade meri
Magar kya sanso se juda kar paoge hume.......
9.Zindgi Haseen Hai
Zindgi Se Pyar Karo,
!Hai Andhera To Kya,
Ujale Ka Intezar Karo,
!Wo Pal Bhi Ayega
Jiska Intzar Hai Apko,
!Rab Par Bhrosa Or
Waqt Par Aitbar Karo,
10.
Laafzo me kya taarif karun aapki,
aap lafzo me kaise sama paaoge,
jab log hamare baare me puchenege,
meri aankho me jaanemaan sirf tum nazar aaoge.
11.
Tum ko to JAAN se pyara bana liya
DIL ka sukon ankh ka TARA bana liya
Ab tum sath do ya na do ye tumhri MARZI
Hum ne to tumhe zindgi ka SAHARA bana liya..
12.
"DEEP" Jalte jagmgate rahain,
Aap hum ko hum aap ko "YAAD" atey rahain
Jab tak zindgi hai "DUA" hai hamari,
Aap "PHOOLON" ki tarha muskrate rahain.!!
13.
Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai.
14.
Saari umar tum ko pyar mile
|
Jo dil mai hai wo hazar baar
mile
|
Bichar jate hai milne ke bad
bhi kuch log
|
Jo kbhi na bichre aisa tumko
pyar mile..
15.
कभी उसने भी हमें चाहत का पैगाम लिखा था
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था
सुना हैं आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था.
16.
Saath na rehne se Rishte nahi tuta karte
Waqt ke hath se Lamhe nahi chhuta karte
Log kehte hain mera Sapna toot gaya…
Toot ti neend hai Sapne nahi toota karte.
17.
Sabhi Tareef karty hain Meri shayri ki lekin..........
Kabhi koi nai sunta mere alfaz ki siski.
18.
Pyar “INSAN” Se Karo Uski “Aadat” Se Nahi...
“Rutho” Unki “Baato” Se Magar Unse Nahi...
.
“Bhoolo” Unki “Galtiya” Par Unhe Nahi..
Kyuki “Rishto” Se Badhkar Kuch Bhi Nahi ..
19.
Ek pal ki judai gawara na ..kar sake
Aisa ishq hum dobara na ..kar sake
Zindagi bhar palat ke naa dekha kabhi
Hum fir v shikwa tumhara naa ..kar sake
Tune toh har kisi se dil laga ke dekha
Magr hum apne dil ko awara na ..kar sake
Jaan tak luta di un ke pyar mein magar
Ek "Dil" hi woh apna humara naa ..kar sake
20.
Zamane mein aise bhi naadan hote hain..
apni kashti le jaate hain jahan toofaan hote hain...
Kyon basaate ho unko dil mein ?..
jo dil ki basti mein chand dinon ke mehmaan hote hain ...!!
21.
Gile shikwe na dil se
Laga lena..!
Kabhi maan jana to
Kabhi manaa lena..!
Kal ka kya pata "hum ho na ho"
Jab mauka mile thoda
Hass lena aur hasaa dena
22.
Saath tumhara dena hai,
aur saath tumhara paana hai..
Patthron ke is shehar mein,
kaanch ka ghar banana hai..
Aasmanon pe jo rishta bana,
usey duniya mein nibhana hai...
Ek naam tumhara liknna hai,
ek naam humen ban jaana hai..
Kuchh baaten tum se karni hain,
kuchh dil ka haal sunana hai..
Chupke se jo mangi hai,
un duaaon mein tum ko paana hai,
Tum rooth ke mujh se mat jaao,
mujhe saath tumhara paana hai..
Tum lout ke wapas aa jaao,
mujhe zindagi tumhe banana hai ...!!
23.
Door hain aap se toh koi ghum nahin,
door reh ke bhoolne waale hum nahin..
Roz mulaqaat na ho toh kya hua ?
aap ki yaad aap ki mulaqaat se kam nahin ...!!.
24.
Din, Mahinay, Salon ka HiSaab Nahi Aata Mujhe,
HaMesha Se HaMesha tak Saath tumHara Chahiye...
25.
ना पीने का शौक था, ना पिलाने का शौक था,
हमे तो सिर्फ नझर मिलाने का शौक था,
पर क्या करे यारो, हम नझर ही उनसे मिला बैठे,
जिन्हे; सिर्फ; नझरो से पिलाने का शौक था !!
26..
Jab bhi kisi ko kareeb paya hain...
Kasam khuda ki wahi dhokha khaya hain...
Kyun dosh dete hain hum kaanto ko...
Zakhm to humne phulo se hi paya hain...
27.
Hum Woh Phool Hain Jo Roz Roz Nahi Khiltay
Yeh Wo Hont Hain Jo Kabhi Nahin Siltay
Hum Se Bichro Ge To Ehsas Hoga Tumhain
Hum Wo Dost Hain Jo Roz Roz Nahin Miltay..
28.
Kitni kaatil hai ye...
Zindagi ki aarZo..
Marr jaate hai log...
kisi par...
"Jeene k liye"..
29.
Phul ban kar muskurana hum jante hai,
Muskurake ghum bhulana hum jantehe,
Milke log khush hote hai to kya hua,
bina mile rishte nibhna hum jante hai.!!..
30.
Phul ban kar muskurana hum jante hai,
Muskurake ghum bhulana hum jantehe,
Milke log khush hote hai to kya hua,
bina mile rishte nibhna hum jante hai.!!
31.
देख कर उसको तेरा यूँ पलट
जाना,.....
नफरत बता रही है
तूने मोहब्बत गज़ब की थी.
32.
Mohabbat kaisi bhi ho dosto. ..
Sajda karna sikha deti hai. ...
Tanhaiyo me rona sikha deti hai. ...
Akele gum sum rehna sikha deti hai. ...
Aankhe nam ho fir b sabke liye hasna sikha deti hai. .
Haste haste rona sikha deti hai. ..
Jo kisi ne na sikhaya ho. ..
Vo mohabbat sikha deti hai. ...
33.
Upar se gusa aur dil me pyr karte ho,
nazre churate ho or dil bekrar krte ho,
lakh chupalo duniya se,
mujhe pta hai k aap roz mera intazar karte ho..
34.
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai
35.
Ghalat Suna Tha Mohabbat Aankhon Se Hoti Hai,
Dil Toh Woh Bhi Le Jaate Hain Jo Palkein Tak Nahin Uthaate
36.
Ye ishq bhi Nasha-e-Sharab jaisa hain
Kare to Marr jaye
chode to kidhar jaye!!!!
37.
Hum toh fanaah ho gaye uskii ankhen dekh kar Ghalib,
Naa janay woh Aainaa kiasay dekhte hogey ..
38.
Kyun na gharoor karta mein apney aap pey…
Mujhe us ney chaha jis ka chahnay waly
hazaron the...
39..
Aarju ye nhi ki gam ka toofan tal jaye,
Fikar to ye hai aapka dil na badal jaye,
Kbhi mujhko agar bhulana chaho to,
Dard itna dena ki mera dam nikal jaye.
40.
अपनी ज़ुल्फ़ों को सितारों के हवाले कर दो
शहर-ए-गुल बादागुसारों के हवाले कर दो
तल्ख़ि-ए-होश हो या मस्ती-ए-इदराक-ए-जुनूँ
आज हर चीज़ बहारों के हवाले कर दो
मुझ को यारो न करो रहनुमाओं के सुपुर्द
मुझ को तुम रहगुज़ारों के हवाले कर दो
जागने वालों का तूफ़ाँ से कर दो रिश्ता
सोने वालों को किनारों के हवाले कर दो
मेरी तौबा का बजा है यही एजाज़ 'अवि'
मेरा साग़र मेरे यारों के हवाले कर दो
41.
Roz Tera intezar Hota Hai
Roz Ye Dil Beqarar Hota Hai
Kaash K Tum Samajh Sakte K
Chup Rehnay Walo Ko B Kisi Se Piyar Hota Hai.
42.
ना करना हमसे प्यार का फिर झुठा वादा..
माँगी है आज दुआ के तुझे भुल जाएँ हम.!!
43.
Jaane kya baat hai usme, jo mujhe kisi aur me
nazar nahi aati.
Kya kashish hai un aankhon me ki mai nazar
hataa nahi paati.
Kya hai jo har pal mujhe hairaan kiya karta hai,
Kya hai jo mai tasaboor se mita nahi paati.
45.
Dard Hota h Magar Shikwa nahi karte
Kon kehta h Hum Wafa nahi Karte
Aakhir Q nahi Badalti Taqdir Meri
Kya Mere Chahne Wale Mere Liye DUA Nahi
Karte?
46.
सुकून मिल गया मुझको
बदनाम होकर,
आपके हर इक इल्ज़ाम पे
यूँ बेजुबान होकर...
लोग पढ़ ही लेंगें आपकी आँखों में मेरी मोहब्बत,
चाहे कर दो इनकार
अंजान होकर...
47.
Hamare Ashk Mein Apka
Khwab Chhupa Hai.....
..
Hamari Khushi Mein Apka
Ehsas Chupa Hai.....
..
Tum Hamari Dastan Mein
Raho Ya Na Raho.....
..
Lekin Is Dil Mein Hamesha
Aapke Liye Pyar Chupa Hai.
48.
Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena,
Kitna Pyar He Usse Ye Jata Bhi Dena,
Ki Kahi Dil Uska Kahi Aur Na Lag Jaye,
Karke Izhar Uske Dil Ko Chura Bhi Lena,
Galti Se Bhi Ruthe Kabhi To Use Mana Bhi
Lena,
Ki Bahut Haseen Hota Hai Ye Pyar Ka Rishta,
Ki kabhi galti se bhi isey tod na lena....
50.
Mafi mangna yeh zahir nai karta,
Ki ap galat or dosra sahi hai Balkay,
Yeh zahir karta hai ki,
Ap ko rishton ki ehmiyat,
Ap ki aan say barh kar hai!
Filed Under :

0 टिप्पणियाँ for "Love sayari in hindi"

एक टिप्पणी भेजें

background